Bas Yun hi...
aaj kuch alag karne ko mann karta hai...
rozana wahi baatein... wohi kisse... wahi log aur wahi guftagun...
har rozmarra ki cheez se hat ke kuch karne ka mann karta hai....
Bas Yun hi... aaj bachpan yaad aata hai...
sakkar chura kar cheetion ko cheeni khilane ka mann karta hai...
kate patang ko phir lapakane ka mann karta hai...
school se bhag film dekhne ka mann karta hai...
akhbaaro se kajol ke photo kaatene ka mann karta hai...
Bas Yun hi... aaj phir jeene ka mann karta hai...
Baaris ke phalee bund ko chune ka mann karta hai...
udate panchi ke pankho ko ginane ka mann karta hai...
Subah ke thandi hawaon se daur lagane ka mann karta hai...
Bas Yun hi... aaj aage badhke aanshun pochne ka mann karta...
Jinhonne kabhi rang na dekha... unko rang deekhane ka mann karta...
unke apnaye andhere main khone ka mann karta...
pahiyon ke beech phansi zindgi ko... khule maindaan main daurane ka mann karta hai...
Bas Yun hi... aaj rone ka mann karta hai...
Pechli baat ko yaad karne ka mann karta hai...
Har galti ki sazaa paane ka mann karta hai...
Khoye hue pyaar ko phir se paane ka mann karta hai...
Bas yun hi... aaj khus hone ka jee karta hai….
aaaj jeeven ki rangeenion ko dekhne ka mann karta hai..
khul ke barish mein jhoomne ka mann karta hai...
zinko hamari parwah nah..unhe bhulne ka mann karta hai..
zindagi hai..ise aakhiri saans tak jeene ka mann karta hai..
Bas yun hi... woh bachpan yaad aata hai...
Bas yun hi... aaj aage badhke aanshun pochne ka mann karta...
Bas yun hi... aaj rone ka mann karta hai...
Bas yun hi....aaj kuch alag karne ka mann karta hai...
Bas yun hi... aaj khus hone ka jee karta hai….