Thursday, August 20, 2009

Kant Sahab hai kya!!!

thak thak thak...
,"kaun hai"
Kant Sahab hai kya...

Arsaa guzar gaya...
Baat nahi hui...
Dikhate toe hain...
par mulakaat nahi hui...

Suna hai aaj kal tasweeron main jeete hain...
Guzarein samay ki yaadon main jeete hain...
bhool gaye nagamon ko phir gungunate hain...

Kya khoya aisa ki bas usko dhundhate hain...
muskuraate hai bas... par hans nahi paate hain...

,"kaun aaya"...
,"Maalum nahi... aapka sukraguzar kahta hai...
aapko aisa dekh pareshaan sa rahta hain"

,"Aare kahan jaanab,
aisi koi baat nahi...
tanhaa hain aaj kal...
aur koi baat nahi hai.

aisa nahi ki ab kal main jeete hain,
kuch guzari yaadein hai.
unko batorke kahin mahphuz rakh dein.
bas yahin sochte hai.

kuch aur dinoo ki baat hai, sahab.
phidarat hin aisi hai, ki bina hanse jee nahi paate hain!!!"


chalo, achcha hai sahab.
phir koi baat nahi.
zindagi ke takalaluf uthate rahiye...
maazaa aata hai!!!



4 comments:

Unknown said...

what a note!!!
tu itna acha kaise likhta hei?

Unknown said...

bahu fine che...some lines evoke a poignant sense of lonliness and sadness...

Abhishek Nath said...

khub bhalo..apni life ki story likh rahe ho aajkal :)

Kani said...

Good work... Keep it going.. :)